Saturday, 1 November 2014

Teri surat jo bhari rehati hai/ तेरी सूरत जो भरी रहती है आँखों में सदा

तेरी सूरत जो भरी रहती है आँखों में सदा
अजनबी लोग भी पहचाने से लगते हैं मुझे
तेरे रिश्तों में तो दुनिया ही पिरो ली मैने

एक से घर हैं सभी एक से हैं बाशिन्दे
अजनबी शहर में कुछ अजनबी लगता ही नहीं
एक से दर्द हैं सब एक से ही रिश्ते हैं

उम्र के खेल में इक तरफ़ा है ये रस्साकशी
इक सिरा मुझको दिया होता तो कुछ बात भी थी
मुझसे तगड़ा भी है और सामने आता भी नहीं

सामने आये मेरे, देखा मुझे, बात भी की
मुस्कुराये भी पुराने किसी रिश्ते के लिये
कल का अख़बार था बस देख लिया रख भी दिया

वो मेरे साथ ही था दूर तक मगर इक दिन
मुड़ के जो देखा तो वो और मेरे पास न था
जेब फट जाये तो कुछ सिक्के भी खो जाते हैं

चौदहवें चाँद को फ़िर आग लगी है देखो
फिर बहुत देर तलक आज उजाला होगा
राख़ हो जायेगा जब फिर से अमावस होगी

-गुलज़ार



Teri surat jo bhari rehati hai aankhon mein sada
Ajanabi log bhi pehchaane se lagte hain mujhe
Tere rishton mein to duniya hi piro li maine

Ek se ghar hain sabhi, ek se hain baashinde
Ajanabi shehar mein kuchh ajanabi lagata hi nahi
Ek se dard hain sab ek se hi rishte hain

umr ke khel mein ik tarfa hai yeh rassakashi
Ik siraa mujhko diya hota to kuch baat bhi thi
Mujhse tagda bhi hai aur saamane aata bhi nahi

Saamane aaye mere, dekha mujhe, baat bhi ki
Muskuraaye bhi puraane kisi rishte ke liye
Kal ka akhbaar tha bas dekh liya rakh bhi diya

Wo mere saath hi tha door tak magar ik din
Mud ke jo dekha toh wo aur mere paas na tha
Jeb phat jaaye to kuch sikke bhi kho jaate hain

Chaudhaven chaand ko phir aag lagi hai dekho
Phir bahot der talak aaj ujaala hoga
Raakh ho jaayega jab phir se amaawas hogi

-Gulzar

No comments:

Post a Comment