Friday, 14 November 2014

Tum ye kaise juda ho gaye/ तुम ये कैसे जुदा हो गए

तुम ये कैसे जुदा हो गए
हर तरफ़ हर जगह हो गए

अपना चेहरा न बदला गया
आईने से ख़फ़ा हो गए

जाने वाले गए भी कहाँ
चाँद सूरज घटा हो गए

बेवफ़ा तो न वो थे न हम
यूँ हुआ बस जुदा हो गए

आदमी बनना आसाँ न था
शेख़ जी पारसा हो गए

(पारसा = संयमी, सदाचारी)

-निदा फ़ाज़ली



Tum ye kaise juda ho gaye
Har taraf har jagah ho gaye

Apana chehra na badlaa gaya
Aayine se khafa ho gaye

Jaane waale gaye bhi kahaan
Chand suraj ghata ho gaye

Bewafa to na wo the na hum
Yun hua bas juda ho gaye

Aadmi banana aasaan na tha
Sheikh jee paarsa ho gaye

-Nida Fazli

No comments:

Post a Comment