Sunday, 25 January 2015

Dil tarasta hai ab zindagi ke liye/ दिल तरसता है अब ज़िन्दगी के लिए

एक ख़लिश दिल की ये क्या से क्या कर गयी
ख़ुशियों की आँख में बारिशें भर गयी
लोग अपनों से भी बेख़बर हो गये
ख़ुशबुएँ छूने के शौक में खो गये
पा के जुगनू ज़रा रौशनी के लिए
दिल तरसता है अब ज़िन्दगी के लिए

सुर्ख़ फूलों के जो नर्म साये मिले
अपनों की शक्ल में जो में पराये मिले
इनके पीछे ज़रा सोच के भागिए
कच्चे रंगों की हैं तितलियाँ देखिये
एक पल ही मिला था ख़ुशी के लिए
दिल तरसता है अब ज़िन्दगी के लिए

एक ख़्वाहिश में थी सैकड़ों आँधियाँ
पल में बिखरे सभी रिश्तो के आशियाँ
प्यासे लब का यही सब को हासिल मिला
जुस्तजू दरिया थी ख़ुश्क साहिल मिला
खो के नींदे किसी अजनबी के लिए
दिल तरसता है अब ज़िन्दगी के लिए

(जुस्तजू = तलाश, खोज), (साहिल = किनारा)


Movie: Stop


Ek khalish dil ki ye, kya se kya kar gayi
Khushiyon ki aankh mein, baarishein bhar gayi
Log aapno se bhi bekhabar ho gaye
Khushbooyein choone ke, shauk mein kho gaye
Paa ke jugnu zaara roshni ke liye
Dil tarasta hai ab zindagi ke liye

Surkh phoolon ke jo narm saaye mile
Aapno ki shakla mein jo paraye mile
Inke peeche zaara soche ke bhaagiye
Kachche rango ki hai titliyan dekhiye
Ek pal hi mila tha khushi ke liye
Dil tarasta hai ab zindagi ke liye

Ek khawahish mein thi saikadon aandhiyaan
Pal mein bikhre sabhi rishton ke aashiyaan
Pyaase lab ka yehi sab ko haasil mila
Justju dariya thi khushk sahil mila
Kho ke neendein kissi ajnabee ke liye
Dil tarasta hai ab zindagi ke liye

No comments:

Post a Comment