Tuesday, 27 January 2015

Maikashi ka to maza is bhari barsaat mein hai/ मयकशी का तो मज़ा इस भरी बरसात में है

मयकशी का तो मज़ा इस भरी बरसात में है
और बरसात में भी दिन में नहीं रात में है

किसको कहते हैं मोहब्बत मुझे मालूम नहीं
एक तूफ़ान सा लेकिन मेरे जज़्बात में है

कह दिया उसको जो बेमिस्ल तो क्या है ऐ शेख
कम वो इस बात में उस बात में किस बात में है

(बेमिस्ल = बेमिसाल, अनुपम, अतुल्य, लाजवाब)

ऐतबार आपकी किस बात का इंसान करे
कुछ न कुछ बात निहाँ आपकी हर बात में है

(निहाँ = छुपी हुई)

देखिये होती है कब मेरी गुज़ारिश मंज़ूर
अब तो ये बात सवालात-ओ-जवाबात में है

-दाग़ देहलवी

https://www.youtube.com/watch?v=wb8iWfsGVrE




Maikashi ka to maza is bhari barsaat mein hai
Aur barsaat mein bhi din mein nahi raat mein hai

Kisko kehte hain mohabbat mujhe maaloom nahi
Ek toofaan sa lekin mere jazbaat mein hai

Keh diya usko jo bemisl to kya hai aye sheikh
Kam wo is baat mein, us baat mein, kis baat mein hai

Aitbaar aapki kis baat ka insaan kare
Kuch na kuch baat nihaan aapki har baat mein hai.

Dekhiye hoti hai kab meri guzaarish manzoor
Ab to ye baat sawaalaat-o-jawaabaat mein hai

-Daag Dehalvi

3 comments:

  1. https://www.youtube.com/watch?v=wb8iWfsGVrE

    ReplyDelete
  2. The original matla is a little different and Jagjitji has sung this version too.

    Maikashi ka to maza waaqai barsaat mein hai
    Aur barsaat mein bhi din mein nahin raat mein hai

    I have come across one more sung sher -

    Dekhiye hoti hai kab meri guzaarish manzoor
    Ab to ye baat sawaalaat-o-jawaabaat mein hai

    ReplyDelete