Monday, 26 January 2015

Tum na jaane kis jahaan/ तुम न जाने किस जहाँ में खो गए

तुम न जाने किस जहाँ में खो गए 
हम भरी दुनियाँ में, तनहा हो गए

मौत भी आती नहीं, आस भी जाती नहीं
दिल को ये क्या हो गया, कोई शै भाती नहीं
लूट कर मेरा जहाँ, छुप गए हो तुम कहाँ

एक जाँ और लाख ग़म, घुट के रह जाए ना दम
आओ तुम को देख लें, डूबती नज़रों से हम
लूट कर मेरा जहाँ, छुप गए हो तुम कहाँ

-साहिर लुधियानवी



Tum na jaane kis jahaan mein kho gaye
Hum bhari duniya mein tanaha ho gaye

Maut bhi aati nahi, aas bhi jaati nahi
Dil ko ye kya ho gaya, koi shai bhaati nahi
Loot kar mera jahaan, chhup gaye ho tum kahaan

Ek jaan aur laakh gham, ghut ke reh jaaye na dum
Aao tum ko dekh len, doobati nazron se hum
Loot kar mera jahaan, chhup gaye ho tum kahaan

-Sahir Ludhianvi

No comments:

Post a Comment