Saturday 17 January 2015

Tu ne kuchh bhī na kahā ho jaise/ तू ने कुछ भी न कहा हो जैसे

तू ने कुछ भी न कहा हो जैसे
मेरे ही दिल की सदा हो जैसे

यूँ तिरी याद में जी घबराया
तू मुझे भूल गया हो जैसे

जाने क्यों चुप है तेरा दीवाना
कर गया हो कोई जादू जैसे

इस तरह टूट रहे हैं रिश्ते
हो जुदा आँख से आँसू जैसे

इस तरह तुझ से किए हैं शिकवे
मुझ को अपने से गिला हो जैसे

यूँ हर इक नक़्श पे झुकती है जबीं
तेरा नक़्श-ए-कफ़-ए-पा हो जैसे

(नक़्श = निशान, चिह्न), (जबीं = माथा), (नक़्श-ए-कफ़-ए-पा  = पैर के तलवे का निशान)

तेरे होंटों की ख़फ़ी सी लर्ज़िश
इक हसीं शेर हुआ हो जैसे

(ख़फ़ी = गुप्त, छिपा हुआ, प्रकट, व्यक्त, ज़ाहिर बारीक, महीन), (लर्ज़िश  =कँपकँपाहट)

-सूफ़ी तबस्सुम


https://www.youtube.com/watch?v=usv8h496nmI&fbclid=IwAR2nESsSfdnHCtyy_WT0T28t6I4GsqV0-jzp5p0gvZd5aQtcThyQ-NBfQsY



Tu ne kuchh bhī na kahā ho jaise
mere hī dil kī sadā ho jaise

yuuñ tirī yaad se jī ghabrāyā
tū mujhe bhuul gayā ho jaise

jaane kyon chup hai tera deewana
kar gaya ho koi jadoo jaise

is tarah toot rahe hain rishte
ho juda aankh se aansoo jaise

is tarah tujh se kiye haiñ shikve
mujh ko apne se gila ho jaise

yuuñ har ik naqsh pe jhuktī hai jabīñ
terā naqsh-e-kaf-e-pā ho jaise

tere hoñToñ kī ḳhafī sī larzish
ik hasīñ sher huā ho jaise

-Sufi Tabassum

No comments:

Post a Comment