Sunday, 19 October 2014

Apna gham le ke kahin aur na jaaya jaye/ अपना ग़म लेके कहीं और न जाया जाये

अपना ग़म लेके कहीं और न जाया जाये
घर में बिखरी हुई चीज़ों को सजाया जाये

जिन चिराग़ों को हवाओं का कोई ख़ौफ़ नहीं
उन चिराग़ों को हवाओं से बचाया जाये

बाग में जाने के आदाब हुआ करते हैं
किसी तितली को न फूलों से उड़ाया जाये

घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें
किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाये

-निदा फ़ाज़ली


Apna gham le ke kahin aur na jaaya jaye
ghar mein bikhri hui cheezon ko sajaaya jaye

jin chiragon ko hawaon ka koi khauf nahin
un chiragon ko hawaon se bachaya jaye

baag mein jaane ke aadaab hua karte hain
kisi titlee ko na phoolon say udaya jaye

ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar len
kisi rote huye bachche ko hansaya jaye

-Nida Fazli

No comments:

Post a Comment