Sunday, 19 October 2014

Kitni pi kaise kati raat mujhe hosh nahin/ कितनी पी कैसे कटी रात मुझे होश नहीं

कितनी पी कैसे कटी रात मुझे होश नहीं
रात के साथ गई बात मुझे होश नहीं

मुझको ये भी नहीं मालूम के जाना है कहाँ
थाम ले कोई मेरा हाथ मुझे होश नहीं

जाने क्या टूटा है, पैमाना, कि दिल है मेरा
बिख़रे-बिख़रे हैं ख़यालात मुझे होश नहीं

आँसुओं और शराबों में गुज़र है अब तो 
मैं ने कब देखी थी बरसात मुझे होश नहीं

-राहत इंदौरी



Kitni pi kaise kati raat mujhe hosh nahin
Raat ke saath gayi baat mujhe hosh nahin

Mujhko ye bhi nahin malooom ke jana hai kahan
Thaam le koi mera haath mujhe hosh nahin

Jaane kyaa toota hai paimaana ki dil hai mera
Bikhre bikhre hain khayalaat mujhe hosh nahin

Aansoon aur sharaabon mein guzar hai ab to
Maine kab dekhi thi barsaat mujhe hosh nahin

-Rahat Indori

1 comment: