Saturday 18 October 2014

Meri tasveer mein rang aur kisi ka to nahin/ मेरी तस्वीर में रंग और किसी का तो नहीं

मेरी तस्वीर में रंग और किसी का तो नहीं
घेर ले मुझको सब आके, मैं तमाशा तो नहीं

ज़िन्दगी तुझसे हर इक साँस पे समझौता करूँ
शौक़ जीने का है मुझको, मगर इतना तो नहीं

रूह को दर्द मिला दर्द को आँखें न मिली
तुझको महसूस किया है, तुझे देखा तो नहीं

सोचते सोचते दिल डूबने लगता है मेरा
ज़हन की तह में 'मुज़फ़्फ़र', कोई दरिया तो नहीं

-मुज़फ़्फ़र वारसी






Meri tasveer mein rang aur kisi ka to nahin
gher le mujhko sab aakee, main tamasha to nahin

zindagi tujhse har ik saans pe samjhauta karoon
shauk jeene ka hai mujhko, magar itna to nahin

rooh ko dard mila, dard ko aankhen na mili
tujhko mehsoos kiya hai, tujhse dekha to nahin

sonchte sonchte dil doobne lagta hai mera
zehan kee teh mein 'Muzaffar', koi dariya to nahin

-Muzaffar Warsi

No comments:

Post a Comment