Friday, 24 October 2014

Tum nahi gham nahi sharaab nahi/ तुम नहीं ग़म नहीं शराब नहीं

तुम नहीं ग़म नहीं शराब नहीं
ऐसी तन्हाई का जवाब नहीं

गाहे-गाहे इसे पढ़ा कीजे
दिल से बेहतर कोई किताब नहीं

(गाहे-गाहे = कभी कभी)

जिसको तूने न आज़माया हो
वो कहीं पर भी कामयाब नहीं

जाने किस किस की मौत आयी है
आज रुख़ पे कोई नक़ाब नहीं

वो करम उँगलियों पे गिनते हैं
ज़ुल्म का जिनके कुछ हिसाब नहीं

जो क़यामत न ढा सके 'राही'
वो किसी काम का शबाब नहीं

-सईद राही



Live in Kenya




Tum nahi gham nahi sharaab nahi
Aisi tanhaayee ka jawaab nahin

Gaahe-gaahe ise padha keeje
Dil se behtar koi kitaab nahin

Jisko toone na aazmaaya ho
Wo kahin par bhi kaamyaab nahi

Jaane kis kis ki maut aayeee hai
Aaj rukh pe koi naqaab nahin

Wo karam ungliyon pe ginte hain
Zulm ka jinke kuch hisaab nahin

Jo qayamat na dha sake 'Rahi'
Wo kisi kaam ka shabaab nahi

-Saeed Rahi

No comments:

Post a Comment