Saturday, 1 November 2014

Ye kya jaane mein jaana hai/ ये क्या जाने में जाना है

ये क्या जाने में जाना है, जाते हो ख़फ़ा हो कर
मैं जब जानूं मेरे दिल से चले जाओ जुदा हो कर

क़यामत तक उड़ेगी दिल से उठकर ख़ाक आँखों तक
इसी रस्ते गया है हसरतों का क़ाफ़िला हो कर

तुम्ही अब दर्द-ऐ-दिल के नाम से घबराए जाते हो
तुम्ही तो दिल में शायद आए थे दर्द-ऐ-आशियाँ हो कर

यूँ ही हम तुम घड़ी भर को मिला करते थे बेहतर था
ये दोनों वक़्त जैसे रोज़ मिलते हैं जुदा हो कर

-सीमाब अकबराबादी


Ye kya jaane mein jaana hai, jaate ho khafaa hokar
Main jab jaanoon, mere dil se chale jaao juda hokar

Qayaamat taak udegi dil se uthkar khaaq aankhon tak
Isi raste gaya hai hasraton ka kaafila hokar
 
Tumhi ab dard-e-dil ke naam se ghabraaye jaate ho
Tumhi to dil mein shaayad aaye the dard-e-aashiyan hokar

Yoonhi ham tum ghadi bhar ko mila karte to behtar tha
Ye dono waqt jaise roz milte hain juda hokar

-Seemab Akbarabadi

3 comments:

  1. Replies
    1. Can you please explain its meaning.

      Delete
  2. I doubt , one couplet is missing in above lyrics. Pls update.

    ReplyDelete