Tuesday, 30 December 2014

Awaara hai galiyon meiN main aur meri tanhai/ आवारा हैं गलियों में मैं और मेरी तन्हाई

आवारा हैं गलियों में मैं और मेरी तन्हाई
जाएँ तो कहाँ जाएँ हर मोड़ पे रुस्वाई

ये फूल से चेहरे हैं हँसते हुए गुलदस्ते
कोई भी नहीं अपना बेगाने हैं सब रस्ते
राहें भी तमाशाई राही भी तमाशाई
मैं और मेरी तन्हाई

अरमान सुलगते हैं सीने में चिता जैसे
क़ातिल नज़र आती है दुनिया की हवा जैसे
रोती है मेरे दिल पर बजती हुई शहनाई
मैं और मेरी तन्हाई

आकाश के माथे पर तारों का चराग़ां है
पहलू में मगर मेरे ज़ख्मों का गुलिस्तां है
आँखों से लहू टपका दामन में बहार आई
मैं और मेरी तन्हाई

हर रंग में ये दुनिया सौ रंग दिखाती है
रोकर कभी हँसती है हँस कर कभी गाती है
ये प्यार की बाहें हैं या मौत की अँगड़ाई
मैं और मेरी तन्हाई

-अली सरदार जाफ़री

जगजीत सिंह 


चित्रा सिंह 


Awaara hai galiyon meiN main aur meri tanhai
JaayeN to kahan jaayeN har mod pe ruswayee
Main aur meri tanhai

Ye phool se chehre haiN haNste huye guldaste
Koi bhee nahin apna begaane hain sab raste
Raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee
Main aur meri tanhai

Armaan sulagte haiN seene meiN chita jaise
Qaatil nazar aati hai duniya ki hawaa jaise
Roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee
Main aur meri tanhai

Aakaash ke maathe par taaroN ka charagaaN hai
Pehloo meiN magar mere zakhmoN ka gulistaan hai
AankhOn se lahoo tapka daaman meiN bahaar aayee
Main aur meri tanhai

Har rang meiN ye duniya sau rang dikhaati hai
Rokar kabhi hansti hai hanskar kabhi gaati hai
Ye pyaar ki baaheN haiN ya maut ki angDaayee
Main aur meri tanhai

-Ali Sardar Jafri

No comments:

Post a Comment