Sunday, 17 May 2015

Ilaaj-e-dard-e-dil tumse maseeha ho nahi sakta/ इलाज-ए-दर्द-ए-दिल तुमसे मसीहा हो नहीं सकता

इलाज-ए-दर्द-ए-दिल तुमसे मसीहा हो नहीं सकता
तुम अच्छा कर नहीं सकते, मैं अच्छा हो नहीं सकता

तुम्हें चाहूँ तुम्हारे चाहने वालों को भी चाहूँ
मेरा दिल फेर दो मुझसे ये झगड़ा हो नहीं सकता

अभी मरते है हम जीने का ताना फिर ना देना तुम
ये ताना उनको देना जिनसे ऐसा हो नहीं सकता

दम-ए-आख़िर मेरी बालीं पे मजमा है हसीनों का
फ़रिश्ता मौत का फिर आए पर्दा हो नहीं सकता

(बालीं = सिरहाना)

-मुज़्तर खैराबादी


Ilaaj-e-dard-e-dil tumse maseeha ho nahi sakta
Tum achcha kar nahi sakte, main achcha ho nahi sakta

Tumhen chaahoon tumhaare chaahne waalon ko bhi chaahoon
Mera dil pher do  mujhse ye jhagda ho nahi sakta

Abhi marte hain hum jeene ka taana phir na dena tum
Ye taana unko dena jinse aisa ho nahi sakta

Dum-e-aakhir meri baali pe majma hai haseeno ka
Farishta maut ka phir aaye parda ho nahi sakta

-Muztar Khairabadi

No comments:

Post a Comment