Tuesday, 30 September 2014

Aankh ko jaam samajh baitha tha/ आँख को जाम समझ बैठा था

आँख को जाम समझ बैठा था अनजाने में
साक़िया होश कहाँ था तेरे दीवाने में

जाने किस बात की उनको है शिकायत मुझसे
नाम तक जिनका नहीं है मेरे अफ़साने में

दिल के दुकड़ों से तेरी याद की खुशबू ना गई
बू-ए-मय बाकी है टूटे हुए पैमाने में

(बू-ए-मय = शराब की महक )

दिल-ए-बर्बाद में उम्मीद का आलम क्या है
टिमटिमाती हुई इक शम्मा है वीराने में

-शमीम शाहाबादी




Aankh ko jaam samajh baitha tha anjaane mein
Saaqiya hosh kahan tha tere diwaane mein

Jaane kis baat ki unko hai shikaayat mujhse
Naam tak jinka nahin hai mere afsaane mein

Dil ke tukdon se teri yaad ki khushboo na gayee
Boo-e-may baaki hai toote huye paimaanon mein

Dil-e-barbad mein ummeed ka aalam kya hai
Timtimati huyee ik shamma hai veeraane mein

-Shameem Shahabadi

1 comment: