Sunday 19 October 2014

Ik pal ghamon ka dariya, ik pal khushi ka dariya/ इक पल ग़मों का दरिया इक पल खुशी का दरिया

इक पल ग़मों का दरिया इक पल खुशी का दरिया
थमता नहीं कहीं भी ये ज़िन्दगी का दरिया

आँखें थी वो किसी की या ख़्वाब के जज़ीरे
आवाज़ थी किसी की या रागिनी का दरिया

(जज़ीरा = द्धीप, टापू)

इस दिल की वादियों में अब ख़ाक उड़ रही है
बहता यहीं था पहले इक आशिक़ी का दरिया

किरनों में हैं ये लहरें या लहरों में हैं किरनें
दरिया की चाँदनी है या चाँदनी का दरिया

-जावेद अख़्तर


Ik pal ghamon ka dariya, ik pal khushi ka dariya
Rukta nahin kabhi bhi, ye zindagi ka dariya

Aankhen thi wo kisi ki, ya khwaab ke Jazeere
Awaaz thi kisi ki ya raagini ka dariya

Is dil ki waadiyon mein ab khaak ud rahi hai
Behta yahin tha pehle ek aashiqi ka dariya

Kirano mein hain ye lehren ya lehron mein hai kirane
Dariya ki chandni hai yaa chandni ka dariya

-Javed Akhtar

No comments:

Post a Comment