Sunday 19 October 2014

Yaad nahin kya kya dekha tha saare manzar bhool gaye/ याद नहीं क्या क्या देखा था सारे मंज़र भूल गए

याद नहीं क्या क्या देखा था सारे मंज़र भूल गए
उस की गलियों से जब लौटे अपना भी घर भूल गए

ख़ूब गए परदेस के अपने दीवार-ओ-दर भूल गए
शीश-महल ने ऐसा घेरा मिट्टी के घर भूल गए

तुझको भी जब अपनी कसमें अपने वादे याद नहीं
हम भी अपने ख़्वाब तेरी आँखों में रख कर भूल गए

मुझको जिन्होंने क़त्ल किया है कोई उन्हें बतलाये 'नज़ीर'
मेरी लाश के पहलू में वो अपना ख़ंजर भूल गए

-नज़ीर बाकरी


Parwaaz - Live concert in Singapore


Yaad nahin kya kya dekha tha saare manzar bhool gaye
Uski galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gaye

Khoob gaye pardes ke apne deewaar-o-dar bhool gaye
Sheesh-mahel ne aisa ghera mitti ke ghar bhool gaye

Tujhko bhi jab apni kasmein apne waayede yaad nahin
Hum bhi apne khwaab teri aankhon mein rakhkar bhool gaye

Mujhko jinhone  Qatl kiya hai koi unhe batlaaye 'Nazeer'
Meri laash ke pehloo mein wo apna khanjar bhool gaye

-Nazeer Bakri

1 comment:

  1. Simply written but deep in meaning.Ghazal is essentially a means to talk to your beloved. Therefore well done. Jagjit Singh as usaul conveys the sentiments superbly

    ReplyDelete