Thursday, 23 October 2014

Ye haqeeqat hai ke hota hai asar baaton mein/ ये हक़ीक़त है के होता है असर बातों में

ये हक़ीक़त है के होता है असर बातों में
तुम भी खुल जाओगे दो-चार मुलक़ातों में

तुम से सदियों की वफ़ाओ का कोई नाता था
तुम से मिलने की लकीरें थीं मेरे हाथों में

तेरे वादों ने हमें घर से निकलने न दिया
लोग मौसम का मज़ा ले गए बरसातों में

अब न सूरज न सितारे न शमा और न चाँद
अपने ज़ख्म़ों का उजाला है घनी रातों में

- सईद राही



Ye haqeeqat hai ke hota hai asar baaton mein
Tum bhi khul jaaoge do-chaar mulaqaaton mein

Tum se sadiyon ki wafaaon ka koi naataa tha
Tum se milne ki lakeeren thi mere haathon mein

Tere waadon ne humen ghar se nikalne na diya
Log mausam ka mazaa le gaye barsaaton mein

Ab na suraj na sitaare na shamaan aur na chaand
Apne zakhmon ka ujaalaa hai ghani raaton mein

-Saeed Rahi

4 comments:

  1. This ghazal is so deep and spiritual very nice...

    ReplyDelete
  2. Faasle Dil Ke Mitane Se Mitenge 'Raahi'
    Waqt Yun Hi Na Guzar Jaaye Kahin Baaton Mein
    (From private recording of Jagjit Ji- Chitra Ji Duet)

    ReplyDelete