Sunday, 16 November 2014

Aaj hum bichhade hain to kitne rangeele ho gaye/ आज हम बिछड़े हैं तो कितने रंगीले हो गए

आज हम बिछड़े हैं तो कितने रंगीले हो गए
मेरी आंखें सुर्ख़ तेरे हाथ पीले हो गए

कब की पत्थर हो चुकी थीं, मुंतज़िर आँखें मगर
छू के जब देखा तो मेरे हाथ गीले हो गए

(मुंतज़िर = प्रतीक्षारत)

जाने क्या एहसास साज़-ए-हुस्न के तारों में है
जिनको छूते ही मेरे नग़मे रसीले हो गए

अब कोई उम्मीद है 'शाहिद' न कोई आरज़ू
आसरे टूटे तो जीने के वसीले हो गए

(वसीले = जरिये)

-शाहिद कबीर


Aaj hum bichhade hain to kitne rangeele ho gaye
Meri aankhen surkh tere haath peele ho gaye

Kab ki patthar ho chuki thee muntazir aankhen magar
Chooke jab dekha to mere hath geele ho gaye

Jaane kya ehsas saaz-e-husn ke taron mein hai
Jinko choote hi mere nagmen raseele ho gaye

Ab koi ummeed hai 'Shahid' na koi aarzoo
Aasre toote to jeene ke waseele ho gaye

-Shahid Kabir

1 comment: