Sunday, 2 November 2014

Dushman ko bhi seene se lagana nahin bhoole/ दुश्मन को भी सीने से लगाना नहीं भूले

दुश्मन को भी सीने से लगाना नहीं भूले
हम अपने बुज़ुर्गों का ज़माना नहीं भूले

तुम आँखों की बरसात बचाये हुये रखना
कुछ लोग अभी आग लगाना नहीं भूले

ये बात अलग हाथ क़लम हो गये अपने
हम आप की तस्वीर बनाना नहीं भूले

(क़लम हो गये = कट गए)

इक उम्र हुई मैं तो हँसी भूल चुका हूँ
तुम अब भी मेरे दिल को दुखाना नहीं भूले

-सागर आज़मी



Live in Dubai


Dushman ko bhi seene se lagana nahin bhoole
Hum apne buzurgon ka zamana nahin bhoole

Tum aankhon ki barsaat bachaaye huye rakhna
Kuch log abhi aag lagaana nahin bhoole

Ye baat alag haath qalam ho gaye apne
Hum aapki tasveer bananaa nahin bhoole

Ik umr huyee main to hansi bhool chuka hoon
Tum ab bhee mere dil to dukhaana nahin bhoole

-Sagar Aazmi

No comments:

Post a Comment