Tuesday, 2 December 2014

Aahon mein hai asar magar farq asar asar mein hai/ आहों में है असर मगर फ़र्क़ असर असर में है

आहों में है असर मगर फ़र्क़ असर असर में है
चैन से सो रहे हैं वो, दर्द यहाँ जिगर में है

दिल को जो मेरे ले गया उसकी तलाश क्या करूँ
जिसने चुराया दिल मेरा वो तो मेरी नज़र में है

वही है रात वस्ल की वही है रात हिज्र की
आए ही गी सहर मगर फ़र्क़ सहर सहर में है

(वस्ल = मिलन), (हिज्र = बिछोहजुदाई), (सहर = सुबह)

मस्ती तेरे शबाब की, जैसे हो मय गुलाब की
साँसों में ऐसी ख़ुशबू है, जैसे हिना अत्तर में है

(अत्तर = इत्र)

-नामालूम



Aahon mein hai asar magar farq asar asar mein hai
Chain se so rahe hain wo, dard yahan jigar mein hai

Dil ko jo mere le gaya uski talaash kya karun
Jisne churaaya dil mera wo to meri nazar mein hai

Wahi hai raat wasl ki wahi hai raat hijr ki
aaye hi gi sahar magar farq sahar sahar mein hai

Masti tere shabaab ki jaise ho mai gulaab ki
Saanson mein aisi khushboo hai jaise hina attar mein hai

-Unknown

2 comments:

  1. bahut hi behtarin gazal hai,pahli baar suni to raat bahr sunta hi raha

    ReplyDelete
  2. Swanty chenta dear dil ko kooredne wali gazal hai

    ReplyDelete