Wednesday, 8 February 2017

Dukh apna agar ham ko batana nahiN aat/ दुख अपना अगर हमको बताना नहीं आता

दुख अपना अगर हमको बताना नहीं आता
तुम को भी तो अंदाज़ा लगाना नहीं आता

मैं भी उसे खोने का हुनर सीख ना पाया
उसको भी मुझे छोड़ के जाना नहीं आता

इस दौर-ए-सियासत में बड़े कैसे बनोगे
लोगों को जब आपस में लड़ाना नहीं आता

तारीख़ की आँखों में धुआं हो गए ख़ुद ही
तुम को तो कोई घर भी जलाना नहीं आता

(तारीख़ = इतिहास)

पहुँचा है बुजुर्गों के बयानों से जो हम तक
क्या बात हुई, क्यूँ वो ज़माना नहीं आता

ढूंढें है तो पलकों पे चमकने के बहाने
आँसू को मेरी आँख में आना नहीं आता

-वसीम बरेलवी





dukh apnā agar ham ko batānā nahīñ aatā
tum ko bhī to andāza lagānā nahīñ aatā

maiñ bhī use khone kā hunar siikh na paayā
us ko bhī mujhe chhoḌ ke jaanā nahīñ aatā

is daur-e-siyasat ke baḌe kaise banoge
logoñ ko jab aapas meñ laḌānā nahīñ aatā

tārīḳh kī āñkhoñ meñ dhuāñ ho ga.e ḳhud hī
tum ko to koī ghar bhī jalānā nahīñ aatā

pahuñchā hai buzurgoñ ke bayānoñ se jo ham tak
kyā baat huī kyuuñ vo zamāna nahīñ aatā

DhūñDhe hai to palkoñ pe chamakne ke bahāne
aañsū ko mirī aañkh meñ aanā nahīñ aatā

-Waseem Barelvi

No comments:

Post a Comment